almaari se khat us ke purane nikal aaye | अलमारी से ख़त उस के पुराने निकल आए - Munawwar Rana

almaari se khat us ke purane nikal aaye
phir se mere chehre pe ye daane nikal aaye

maa baith ke takti thi jahaan se mera rasta
mitti ke hataate hi khazaane nikal aaye

mumkin hai humein gaav bhi pehchaan na paaye
bachpan mein hi hum ghar se kamaane nikal aaye

ai ret ke zarre tira ehsaan bahut hai
aankhon ko bhigone ke bahaane nikal aaye

ab tere bulane se bhi hum aa nahin sakte
hum tujh se bahut aage zamaane nikal aaye

ek khauf sa rehta hai mere dil mein hamesha
kis ghar se tiri yaad na jaane nikal aaye

अलमारी से ख़त उस के पुराने निकल आए
फिर से मिरे चेहरे पे ये दाने निकल आए

माँ बैठ के तकती थी जहाँ से मिरा रस्ता
मिट्टी के हटाते ही ख़ज़ाने निकल आए

मुमकिन है हमें गाँव भी पहचान न पाए
बचपन में ही हम घर से कमाने निकल आए

ऐ रेत के ज़र्रे तिरा एहसान बहुत है
आँखों को भिगोने के बहाने निकल आए

अब तेरे बुलाने से भी हम आ नहीं सकते
हम तुझ से बहुत आगे ज़माने निकल आए

एक ख़ौफ़ सा रहता है मिरे दिल में हमेशा
किस घर से तिरी याद न जाने निकल आए

- Munawwar Rana
15 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari