pairo'n ko mere deeda-e-tar baandhe hue hai | पैरों को मिरे दीदा-ए-तर बाँधे हुए है

  - Munawwar Rana

pairo'n ko mere deeda-e-tar baandhe hue hai
zanjeer ki soorat mujhe ghar baandhe hue hai

har chehre mein aata hai nazar ek hi chehra
lagta hai koi meri nazar baandhe hue hai

bichhdenge to mar jaayenge ham dono bichhad kar
ik dor mein ham ko yahi dar baandhe hue hai

parwaaz ki taqat bhi nahin baaki hai lekin
sayyaad abhi tak mere par baandhe hue hai

ham hain ki kabhi zabt ka daaman nahin chhodaa
dil hai ki dhadkane pe kamar baandhe hue hai

aankhen to use ghar se nikalne nahin detiin
aansu hai ki saamaan-e-safar baandhe hue hai

phenki na munavvar ne buzurgon ki nishaani
dastaar puraani hai magar baandhe hue hai

पैरों को मिरे दीदा-ए-तर बाँधे हुए है
ज़ंजीर की सूरत मुझे घर बाँधे हुए है

हर चेहरे में आता है नज़र एक ही चेहरा
लगता है कोई मेरी नज़र बाँधे हुए है

बिछड़ेंगे तो मर जाएँगे हम दोनों बिछड़ कर
इक डोर में हम को यही डर बाँधे हुए है

पर्वाज़ की ताक़त भी नहीं बाक़ी है लेकिन
सय्याद अभी तक मिरे पर बाँधे हुए है

हम हैं कि कभी ज़ब्त का दामन नहीं छोड़ा
दिल है कि धड़कने पे कमर बाँधे हुए है

आँखें तो उसे घर से निकलने नहीं देतीं
आँसू है कि सामान-ए-सफ़र बाँधे हुए है

फेंकी न 'मुनव्वर' ने बुज़ुर्गों की निशानी
दस्तार पुरानी है मगर बाँधे हुए है

  - Munawwar Rana

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari