khoon rulvaayegi ye jungle-parasti ek din | ख़ून रुलवाएगी ये जंगल-परस्ती एक दिन

  - Munawwar Rana

khoon rulvaayegi ye jungle-parasti ek din
sab chale jaayenge khaali kar ke basti ek din

chusta rehta hai ras bhaunra abhi tak dekh lo
phool ne bhule se ki thi sarparasti ek din

dene waale ne tabi'at kya ajab di hai use
ek din khaana-badoshi ghar-grihasti ek din

kaise kaise log dastaaron ke maalik ho gaye
bik rahi thi shehar mein thodi si sasti ek din

tum ko ai veeraaniyon shaayad nahin ma'aloom hai
ham banaayenge isee sehra ko basti ek din

roz-o-shab ham ko bhi samjhaati hai mitti qabr ki
khaak mein mil jaayegi teri bhi hasti ek din

ख़ून रुलवाएगी ये जंगल-परस्ती एक दिन
सब चले जाएँगे ख़ाली कर के बस्ती एक दिन

चूसता रहता है रस भौंरा अभी तक देख लो
फूल ने भूले से की थी सरपरस्ती एक दिन

देने वाले ने तबीअ'त क्या अजब दी है उसे
एक दिन ख़ाना-बदोशी घर-गृहस्ती एक दिन

कैसे कैसे लोग दस्तारों के मालिक हो गए
बिक रही थी शहर में थोड़ी सी सस्ती एक दिन

तुम को ऐ वीरानियों शायद नहीं मा'लूम है
हम बनाएँगे इसी सहरा को बस्ती एक दिन

रोज़-ओ-शब हम को भी समझाती है मिट्टी क़ब्र की
ख़ाक में मिल जाएगी तेरी भी हस्ती एक दिन

  - Munawwar Rana

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari