ana havas ki dukano mein aa ke baith gai | अना हवस की दुकानों में आ के बैठ गई

  - Munawwar Rana

ana havas ki dukano mein aa ke baith gai
ajeeb maina hai shikaron mein aa ke baith gai

jaga raha hai zamaana magar nahin khultin
kahaan ki neend in aankhon mein aa ke baith gai

vo faakhta jo mujhe dekhte hi udti thi
bade saleeqe se bacchon mein aa ke baith gai

tamaam talkhiyaan saaghar mein raqs karne lagin
tamaam gard kitaabon mein aa ke baith gai

tamaam shehar mein mauzoo-e-guftugoo hai yahi
ki shaahzaadi ghulaamon mein aa ke baith gai

nahin thi doosri koi jagah bhi chhupne ki
hamaari umr khilauno mein aa ke baith gai

utho ki os ki boonden jaga rahi hain tumhein
chalo ki dhoop dareechon mein aa ke baith gai

chali thi dekhne suraj ki bad-mizaaji ko
magar ye os bhi phoolon mein aa ke baith gai

tujhe main kaise bataaun ki shaam hote hi
udaasi kamre ke taqon mein aa ke baith gai

अना हवस की दुकानों में आ के बैठ गई
अजीब मैना है शिकरों में आ के बैठ गई

जगा रहा है ज़माना मगर नहीं खुलतीं
कहाँ की नींद इन आँखों में आ के बैठ गई

वो फ़ाख़्ता जो मुझे देखते ही उड़ती थी
बड़े सलीक़े से बच्चों में आ के बैठ गई

तमाम तल्ख़ियाँ साग़र में रक़्स करने लगीं
तमाम गर्द किताबों में आ के बैठ गई

तमाम शहर में मौज़ू-ए-गुफ़्तुगू है यही
कि शाहज़ादी ग़ुलामों में आ के बैठ गई

नहीं थी दूसरी कोई जगह भी छुपने की
हमारी उम्र खिलौनों में आ के बैठ गई

उठो कि ओस की बूँदें जगा रही हैं तुम्हें
चलो कि धूप दरीचों में आ के बैठ गई

चली थी देखने सूरज की बद-मिज़ाजी को
मगर ये ओस भी फूलों में आ के बैठ गई

तुझे मैं कैसे बताऊँ कि शाम होते ही
उदासी कमरे के ताक़ों में आ के बैठ गई

  - Munawwar Rana

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari