ghar mein rahte hue ghairoon ki tarah hoti hain | घर में रहते हुए ग़ैरों की तरह होती हैं

  - Munawwar Rana

ghar mein rahte hue ghairoon ki tarah hoti hain
ladkiyaan dhaan ke paudon ki tarah hoti hain

ud ke ik roz bahut door chali jaati hain
ghar ki shaakhon pe ye chidiyon ki tarah hoti hain

sahmi sahmi hui rahti hain makaan-e-dil mein
aarzooen bhi ghareebon ki tarah hoti hain

toot kar ye bhi bikhar jaati hain ik lamhe mein
kuchh umeedein bhi ghondon ki tarah hoti hain

aap ko dekh ke jis waqt palatti hai nazar
meri aankhen meri aankhon ki tarah hoti hain

घर में रहते हुए ग़ैरों की तरह होती हैं
लड़कियाँ धान के पौदों की तरह होती हैं

उड़ के इक रोज़ बहुत दूर चली जाती हैं
घर की शाख़ों पे ये चिड़ियों की तरह होती हैं

सहमी सहमी हुई रहती हैं मकान-ए-दिल में
आरज़ूएँ भी ग़रीबों की तरह होती हैं

टूट कर ये भी बिखर जाती हैं इक लम्हे में
कुछ उमीदें भी घरोंदों की तरह होती हैं

आप को देख के जिस वक़्त पलटती है नज़र
मेरी आँखें मिरी आँखों की तरह होती हैं

  - Munawwar Rana

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari