juda rehta hoon main tujh se to dil be-taab rehta hai | जुदा रहता हूँ मैं तुझ से तो दिल बे-ताब रहता है

  - Munawwar Rana

juda rehta hoon main tujh se to dil be-taab rehta hai
chaman se door rah ke phool kab shaadaab rehta hai

andhere aur ujaale ki kahaani sirf itni hai
jahaan mehboob rehta hai wahin mahtaab rehta hai

muqaddar mein likha kar laaye hain ham boriya lekin
tasavvur mein hamesha resham-o-kam-khwaab rehta hai

hazaaron bastiyaan aa jaayengi toofaan ki zad mein
meri aankhon mein ab aansu nahin sailaab rehta hai

bhale lagte hain schoolon ki uniform mein bacche
kanwal ke phool se jaise bhara taalaab rehta hai

ye bazaar-e-hawas hai tum yahan kaise chale aaye
ye sone ki dukanein hain yahan tezaab rehta hai

hamaari har pareshaani inhi logon ke dam se hai
hamaare saath ye jo halka-e-ahbaab rehta hai

badi mushkil se aate hain samajh mein lucknow waale
dilon mein faasle lab par magar aadaab rehta hai

जुदा रहता हूँ मैं तुझ से तो दिल बे-ताब रहता है
चमन से दूर रह के फूल कब शादाब रहता है

अँधेरे और उजाले की कहानी सिर्फ़ इतनी है
जहाँ महबूब रहता है वहीं महताब रहता है

मुक़द्दर में लिखा कर लाए हैं हम बोरिया लेकिन
तसव्वुर में हमेशा रेशम-ओ-कम-ख़्वाब रहता है

हज़ारों बस्तियाँ आ जाएँगी तूफ़ान की ज़द में
मिरी आँखों में अब आँसू नहीं सैलाब रहता है

भले लगते हैं स्कूलों की यूनिफार्म में बच्चे
कँवल के फूल से जैसे भरा तालाब रहता है

ये बाज़ार-ए-हवस है तुम यहाँ कैसे चले आए
ये सोने की दुकानें हैं यहाँ तेज़ाब रहता है

हमारी हर परेशानी इन्ही लोगों के दम से है
हमारे साथ ये जो हल्क़ा-ए-अहबाब रहता है

बड़ी मुश्किल से आते हैं समझ में लखनऊ वाले
दिलों में फ़ासले लब पर मगर आदाब रहता है

  - Munawwar Rana

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari