hanste hue maa-baap ki gaali nahin khaate | हँसते हुए माँ-बाप की गाली नहीं खाते - Munawwar Rana

hanste hue maa-baap ki gaali nahin khaate
bacche hain to kyun shauq se mitti nahin khaate

tum se nahin milne ka iraada to hai lekin
tum se na milenge ye qasam bhi nahin khaate

so jaate hain footpath pe akhbaar bichha kar
mazdoor kabhi neend ki goli nahin khaate

bacche bhi ghareebi ko samajhne lage shaayad
ab jaag bhi jaate hain to sehri nahin khaate

daawat to badi cheez hai hum jaise qalander
har ek ke paison ki dava bhi nahin khaate

allah ghareebon ka madad-gaar hai raana
hum logon ke bacche kabhi sardi nahin khaate

हँसते हुए माँ-बाप की गाली नहीं खाते
बच्चे हैं तो क्यूँ शौक़ से मिट्टी नहीं खाते

तुम से नहीं मिलने का इरादा तो है लेकिन
तुम से न मिलेंगे ये क़सम भी नहीं खाते

सो जाते हैं फ़ुटपाथ पे अख़बार बिछा कर
मज़दूर कभी नींद की गोली नहीं खाते

बच्चे भी ग़रीबी को समझने लगे शायद
अब जाग भी जाते हैं तो सहरी नहीं खाते

दावत तो बड़ी चीज़ है हम जैसे क़लंदर
हर एक के पैसों की दवा भी नहीं खाते

अल्लाह ग़रीबों का मदद-गार है 'राना'
हम लोगों के बच्चे कभी सर्दी नहीं खाते

- Munawwar Rana
4 Likes

Sardi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Sardi Shayari Shayari