kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaaan aayi | किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आई - Munawwar Rana

kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaaan aayi
main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein maa aayi

yahan se jaane waala laut kar koi nahin aaya
main rota rah gaya lekin na waapas ja ke maa aayi

adhoore raaste se lautna achha nahin hota
bulane ke liye duniya bhi aayi to kahaan aayi

kisi ko gaav se pardes le jaayegi phir shaayad
udaati rail-gaadi dher saara phir dhuaan aayi

mere bacchon mein saari aadaten maujood hain meri
to phir in bad-naseebon ko na kyun urdu zabaan aayi

qafas mein mausamon ka koi andaaza nahin hota
khuda jaane bahaar aayi chaman mein ya khizaan aayi

gharaunde to gharaunde hain chataanen toot jaati hain
udaane ke liye aandhi agar naam-o-nishaan aayi

kabhi ai khush-naseebi mere ghar ka rukh bhi kar leti
idhar pahunchee udhar pahunchee yahan aayi wahan aayi

किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आई
मैं घर में सब से छोटा था मिरे हिस्से में माँ आई

यहाँ से जाने वाला लौट कर कोई नहीं आया
मैं रोता रह गया लेकिन न वापस जा के माँ आई

अधूरे रास्ते से लौटना अच्छा नहीं होता
बुलाने के लिए दुनिया भी आई तो कहाँ आई

किसी को गाँव से परदेस ले जाएगी फिर शायद
उड़ाती रेल-गाड़ी ढेर सारा फिर धुआँ आई

मिरे बच्चों में सारी आदतें मौजूद हैं मेरी
तो फिर इन बद-नसीबों को न क्यूँ उर्दू ज़बाँ आई

क़फ़स में मौसमों का कोई अंदाज़ा नहीं होता
ख़ुदा जाने बहार आई चमन में या ख़िज़ाँ आई

घरौंदे तो घरौंदे हैं चटानें टूट जाती हैं
उड़ाने के लिए आँधी अगर नाम-ओ-निशाँ आई

कभी ऐ ख़ुश-नसीबी मेरे घर का रुख़ भी कर लेती
इधर पहुँची उधर पहुँची यहाँ आई वहाँ आई

- Munawwar Rana
8 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari