ye hijr ka rasta hai dhalaanen nahin hoti | ये हिज्र का रस्ता है ढलानें नहीं होतीं - Munawwar Rana

ye hijr ka rasta hai dhalaanen nahin hoti
sehra mein charaagon ki dukanein nahin hoti

khushboo ka ye jhonka abhi aaya hai udhar se
kis ne kaha sehra mein azaanen nahin hoti

kya marte hue log ye insaan nahin hain
kya hanste hue phoolon mein jaanen nahin hoti

ab koi ghazal-chehra dikhaai nahin deta
ab shehar mein abroo ki kamaanein nahin hoti

in par kisi mausam ka asar kyun nahin hota
radd kyun tiri yaadon ki udaanen nahin hoti

ye sher hai chhup kar kabhi hamla nahin karta
maidani ilaaqon mein machaanen nahin hoti

kuch baat thi jo lab nahin khulte the hamaare
tum samjhe the goongon ke zabaanen nahin hoti

ये हिज्र का रस्ता है ढलानें नहीं होतीं
सहरा में चराग़ों की दुकानें नहीं होतीं

ख़ुश्बू का ये झोंका अभी आया है उधर से
किस ने कहा सहरा में अज़ानें नहीं होतीं

क्या मरते हुए लोग ये इंसान नहीं हैं
क्या हँसते हुए फूलों में जानें नहीं होतीं

अब कोई ग़ज़ल-चेहरा दिखाई नहीं देता
अब शहर में अबरू की कमानें नहीं होतीं

इन पर किसी मौसम का असर क्यूँ नहीं होता
रद्द क्यूँ तिरी यादों की उड़ानें नहीं होतीं

ये शेर है छुप कर कभी हमला नहीं करता
मैदानी इलाक़ों में मचानें नहीं होतीं

कुछ बात थी जो लब नहीं खुलते थे हमारे
तुम समझे थे गूँगों के ज़बानें नहीं होतीं

- Munawwar Rana
1 Like

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari