daastaan-e-muntazir | "दास्ताँ-ए-मुन्तज़िर"

  - Muntazir Firozabadi

daastaan-e-muntazir

gar sunni hai to phir ek kahaani suno
muntazir ki aankhon mein hai paani suno
muntazir kisi se bhi darta nahin tha
ya yun kaho koi uspe marta nahin tha
muntazir ki taaleem to achhi rahi thi
magar uski kismat hi kacchi rahi thi
muntazir ne diye jalaaye bahut the
muntazir ke zehn mein saaye bahut the
magar ab ye aalam andhera andhera
haay mere yaaron kab hoga savera
muntazir ka dard muntazir ka nahin hai
suna hai muntazir yahin hain kahi hai
gir gayi muntazir ki havaai haveli
muntazir ki daadhi mein ho gayi safedi
muntazir ki raah mein rode bahut hain
muntazir ko kaam thode bahut hain
muntazir ko koi ab fatkaarata nahin hai
fatkaarata hai gar to dutkaarta nahin hai
suna hai muntazir ab dikhta nahin hai
muntazir bazaaron mein bikta nahin hai
kaash ki muntazir bazaaron mein bikta
phir ek do mein nahin hazaaron mein bikta
muntazir ko koi hazaari to milti
phir chahein zigar pe aari hi chalti
muntazir ki baanhon mein aayi to hoti
usne bhi ek duniya paayi to hoti
shaam-e-muntazir ko suba mil jaaye
gar aap logon ki dua mil jaaye

"दास्ताँ-ए-मुन्तज़िर"

गर सुननी है तो फिर एक कहानी सुनो
मुन्तज़िर की आँखों में है पानी सुनो
मुन्तज़िर किसी से भी डरता नहीं था
या यूँ कहो कोई उसपे मरता नहीं था
मुन्तज़िर की तालीम तो अच्छी रही थी
मगर उसकी किस्मत ही कच्ची रही थी
मुन्तज़िर ने दिए जलाये बहुत थे
मुन्तज़िर के ज़हन में साए बहुत थे
मगर अब ये आलम अँधेरा अँधेरा
हाय मेरे यारों कब होगा सवेरा
मुन्तज़िर का दर्द मुन्तज़िर का नहीं है
सुना है मुन्तज़िर यहीं हैं कहीं है
गिर गयी मुन्तज़िर की हवाई हवेली
मुन्तज़िर की दाढ़ी में हो गयी सफेदी
मुन्तज़िर की राह में रोड़े बहुत हैं
मुन्तज़िर को काम थोड़े बहुत हैं
मुन्तज़िर को कोई अब फटकारता नहीं है
फटकारता है गर तो दुत्कारता नहीं है
सुना है मुन्तज़िर अब दिखता नहीं है
मुन्तज़िर बाज़ारों में बिकता नहीं है
काश कि मुन्तज़िर बाज़ारों में बिकता
फिर एक दो में नहीं हज़ारों में बिकता
मुन्तज़िर को कोई हज़ारी तो मिलती
फिर चाहें ज़िगर पे आरी ही चलती
मुन्तज़िर की बाँहों में आयी तो होती
उसने भी एक दुनिया पायी तो होती
शाम-ए-मुन्तज़िर को सुबा मिल जाए
गर आप लोगों की दुआ मिल जाए

  - Muntazir Firozabadi

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muntazir Firozabadi

As you were reading Shayari by Muntazir Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Muntazir Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari