jo mujh se door jaana chahta tha | जो मुझ से दूर जाना चाहता था

  - Muntazir Firozabadi

jo mujh se door jaana chahta tha
vo mere saath hi pakda gaya tha

main apni mutthiyon mein qaid tha ya
mujhe aisa kisi ne kar diya tha

meri aankhen to main ne noch leen theen
mujhe phir bhi kisi ne padh liya tha

bichhadte waqt bhi dil kuchh na bola
ye paagal zabt kar ke rah gaya tha

tha us se ishq ka izhaar karna
mujhe kuchh aur hi kehna pada tha

use mujh se rihaai chahiye thi
main apni laash par baitha hua tha

kaha dono ne ik dooje ko behtar
bas us ke ba'ad jhagda ho gaya tha

jahaan ke tabsire se tang aa kar
bahut nuksaan ham ne kar liya tha

sitaare badh rahe the meri jaanib
magar vo chaand kyun thehra hua tha

mere yaaro tumhaari hi badaulat
safar jaari hua hai ruk gaya tha

kabhi awaaz di thi muntazir ko
main apne aap se takra gaya tha

जो मुझ से दूर जाना चाहता था
वो मेरे साथ ही पकड़ा गया था

मैं अपनी मुट्ठियों में क़ैद था या
मुझे ऐसा किसी ने कर दिया था

मिरी आँखें तो मैं ने नोच लीं थीं
मुझे फिर भी किसी ने पढ़ लिया था

बिछड़ते वक़्त भी दिल कुछ न बोला
ये पागल ज़ब्त कर के रह गया था

था उस से इश्क़ का इज़हार करना
मुझे कुछ और ही कहना पड़ा था

उसे मुझ से रिहाई चाहिए थी
मैं अपनी लाश पर बैठा हुआ था

कहा दोनों ने इक दूजे को बेहतर
बस उस के बा'द झगड़ा हो गया था

जहाँ के तब्सिरे से तंग आ कर
बहुत नुक़सान हम ने कर लिया था

सितारे बढ़ रहे थे मेरी जानिब
मगर वो चाँद क्यूँ ठहरा हुआ था

मिरे यारो तुम्हारी ही बदौलत
सफ़र जारी हुआ है, रुक गया था

कभी आवाज़ दी थी 'मुंतज़िर' को
मैं अपने आप से टकरा गया था

  - Muntazir Firozabadi

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muntazir Firozabadi

As you were reading Shayari by Muntazir Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Muntazir Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari