gham-o-khushi ke agar silsile nahin chalte
to mere saath kabhi hausale nahin chalte
ana ke ped pe khilte nahin khuloos ke phool
zidon ke saath kabhi faisley nahin chalte
bas ik nigaah pe umren nisaar hoti hain
mohabbaton ke kabhi silsile nahin chalte
hamaare qadmon mein rahte hain raaste lekin
hamaare saath kabhi marhale nahin chalte
har ek shakhs yahan meer-e-kaarwaan khud hai
isee liye to yahan qafile nahin chalte
ग़म-ओ-ख़ुशी के अगर सिलसिले नहीं चलते
तो मेरे साथ कभी हौसले नहीं चलते
अना के पेड़ पे खिलते नहीं ख़ुलूस के फूल
ज़िदों के साथ कभी फ़ैसले नहीं चलते
बस इक निगाह पे उम्रें निसार होती हैं
मोहब्बतों के कभी सिलसिले नहीं चलते
हमारे क़दमों में रहते हैं रास्ते लेकिन
हमारे साथ कभी मरहले नहीं चलते
हर एक शख़्स यहाँ मीर-ए-कारवाँ ख़ुद है
इसी लिए तो यहाँ क़ाफ़िले नहीं चलते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Farrukh
our suggestion based on Nadeem Farrukh
As you were reading Raasta Shayari Shayari