haathon ko kashkol banaaye baithe hain
bhooke bacche ghol banaaye baithe hain
aap haseen pyaale se dhoka mat khaana
vo zahreela ghol banaaye baithe hain
vo sholoon ki baarish karne waala hai
ham kaaghaz ke khol banaaye baithe hain
us ki koshish bikne par majboor hon ham
ham khud ko anmol banaaye baithe hain
dushman aakhir dastaaron tak aa pahuncha
ham rishton mein jhol banaaye baithe hain
हाथों को कश्कोल बनाए बैठे हैं
भूके बच्चे ग़ोल बनाए बैठे हैं
आप हसीं प्याले से धोका मत खाना
वो ज़हरीला घोल बनाए बैठे हैं
वो शो'लों की बारिश करने वाला है
हम काग़ज़ के ख़ोल बनाए बैठे हैं
उस की कोशिश बिकने पर मजबूर हों हम
हम ख़ुद को अनमोल बनाए बैठे हैं
दुश्मन आख़िर दस्तारों तक आ पहुँचा
हम रिश्तों में झोल बनाए बैठे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Farrukh
our suggestion based on Nadeem Farrukh
As you were reading Dushman Shayari Shayari