vo patharaai si aankhon ko bhi kaajal bhej deta hai | वो पथराई सी आँखों को भी काजल भेज देता है

  - Nadeem Farrukh

vo patharaai si aankhon ko bhi kaajal bhej deta hai
sulagti dopahar mein jaise baadal bhej deta hai

main apne sab masaail bas usi par chhod deta hoon
mere uljhe masaail ka wahi hal bhej deta hai

jahaan waale use jab yaad karna bhool jaate hain
zameenon ki tahon mein koi halchal bhej deta hai

jahaan ahl-e-khirad tevar badal kar baat karte hain
vo ibarat ke liye do chaar paagal bhej deta hai

hamaare aaj ki jab koshishein naakaam hoti hain
hamein vo ek aur ummeed ka kal bhej deta hai

वो पथराई सी आँखों को भी काजल भेज देता है
सुलगती दोपहर में जैसे बादल भेज देता है

मैं अपने सब मसाइल बस उसी पर छोड़ देता हूँ
मिरे उलझे मसाइल का वही हल भेज देता है

जहाँ वाले उसे जब याद करना भूल जाते हैं
ज़मीनों की तहों में कोई हलचल भेज देता है

जहाँ अहल-ए-ख़िरद तेवर बदल कर बात करते हैं
वो इबरत के लिए दो चार पागल भेज देता है

हमारे आज की जब कोशिशें नाकाम होती हैं
हमें वो एक और उम्मीद का कल भेज देता है

  - Nadeem Farrukh

Tevar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Farrukh

As you were reading Shayari by Nadeem Farrukh

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Farrukh

Similar Moods

As you were reading Tevar Shayari Shayari