apni khuddaari to paamaal nahin kar sakte | अपनी ख़ुद्दारी तो पामाल नहीं कर सकते - Nadir Ariz

apni khuddaari to paamaal nahin kar sakte
us ka number hai magar kaal nahin kar sakte

seem jaayega to phir naqsh ubhaarenge koi
kaam deewaar pe filhaal nahin kar sakte

rah bhi saka hai tira naam kahi likkha hua
saare jungle ki to padtaal nahin kar sakte

dost tasveer bahut door se kheenchi gai hai
hum ujaagar ye khud-o-khaal nahin kar sakte

roti aankhon pe miyaan haath to rakh sakte hain
pesh agar aap ko roomaal nahin kar sakte

de na de kaam ki ujrat ye hai marzi us ki
pesha-e-ishq mein hartal nahin kar sakte

dasht aaye jise vehshat ki talab ho naadir
ye ghiza shehar hum irsaal nahin kar sakte

अपनी ख़ुद्दारी तो पामाल नहीं कर सकते
उस का नंबर है मगर काल नहीं कर सकते

सीम जाएगा तो फिर नक़्श उभारेंगे कोई
काम दीवार पे फ़िलहाल नहीं कर सकते

रह भी सकता है तिरा नाम कहीं लिक्खा हुआ
सारे जंगल की तो पड़ताल नहीं कर सकते

दोस्त तस्वीर बहुत दूर से खींची गई है
हम उजागर ये ख़द-ओ-ख़ाल नहीं कर सकते

रोती आँखों पे मियाँ हाथ तो रख सकते हैं
पेश अगर आप को रूमाल नहीं कर सकते

दे न दे काम की उजरत ये है मर्ज़ी उस की
पेशा-ए-इश्क़ में हड़ताल नहीं कर सकते

दश्त आए जिसे वहशत की तलब हो 'नादिर'
ये ग़िज़ा शहर हम इर्साल नहीं कर सकते

- Nadir Ariz
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Ariz

As you were reading Shayari by Nadir Ariz

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Ariz

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari