dhundhlaa gaya hoon door ke manzar mein ja ke main | धुँधला गया हूँ दूर के मंज़र में जा के मैं

  - Nadir Ariz

dhundhlaa gaya hoon door ke manzar mein ja ke main
pachta raha hoon shahr se qasbe mein aa ke main

ab us kali pe sirf mera haq hai dosto
lautaa hoon haath ped ko pehle laga ke main

shola diye ko zindagi dete hi bujh gaya
manzar se hat gaya use manzar pe la ke main

sahab yaqeen keejiye chori ki khoo nahin
baagh aa gaya hoon dost ki baaton mein aa ke main

us dar ke band hone ka badla liya hai dost
jo bechta raha hoon dariche bana ke main

धुँधला गया हूँ दूर के मंज़र में जा के मैं
पछता रहा हूँ शह्‌र से क़स्बे में आ के मैं

अब उस कली पे सिर्फ़ मिरा हक़ है दोस्तो
लौटा हूँ हाथ पेड़ को पहले लगा के मैं

शोला दिये को ज़िन्दगी देते ही बुझ गया
मंज़र से हट गया उसे मंज़र पे ला के मैं

साहब यक़ीन कीजिये चोरी की ख़ू नहीं
बाग़ आ गया हूँ दोस्त की बातों में आ के मैं

उस दर के बन्द होने का बदला लिया है दोस्त
जो बेचता रहा हूँ दरीचे बना के मैं

  - Nadir Ariz

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Ariz

As you were reading Shayari by Nadir Ariz

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Ariz

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari