meri jaan par ye patthar is liye bhari ziyaada hai
mohabbat kam tire lehje mein gham-khwari ziyaada hai
ye sab se mukhtasar rasta hai is waadi mein jaane ka
magar is par safar karne mein dushwaari ziyaada hai
ham apni raah mein deewaar ban jaate hain khud akshar
hamaara mas'ala ye hai ki khuddaari ziyaada hai
mohabbat ke qareeb aaya to andaaza hua mujh ko
ki dilkash ghar se ghar ki chaar deewaari ziyaada hai
abhi ye bahs naadir waqt ki chaukhat pe rakhte hain
ye kal dekhenge kis ka kaam meyari ziyaada hai
मिरी जाँ पर ये पत्थर इस लिए भारी ज़ियादा है
मोहब्बत कम तिरे लहजे में ग़म-ख़्वारी ज़ियादा है
ये सब से मुख़्तसर रस्ता है इस वादी में जाने का
मगर इस पर सफ़र करने में दुश्वारी ज़ियादा है
हम अपनी राह में दीवार बन जाते हैं ख़ुद अक्सर
हमारा मसअला ये है कि ख़ुद्दारी ज़ियादा है
मोहब्बत के क़रीब आया तो अंदाज़ा हुआ मुझ को
कि दिलकश घर से घर की चार दीवारी ज़ियादा है
अभी ये बहस 'नादिर' वक़्त की चौखट पे रखते हैं
ये कल देखेंगे किस का काम मेयारी ज़ियादा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Ariz
our suggestion based on Nadir Ariz
As you were reading Waqt Shayari Shayari