naye mujrim hain puranon ki taraf dekhte hain
muqtedi apne imaamon ki taraf dekhte hain
khauf se bhag khade hote hain buzdil fauji
ham nadaamat se shaheedon ki taraf dekhte hain
itna pyaara hai vo chehra ki nazar padte hi
log haathon ki lakeeron ki taraf dekhte hain
hijr raas aata to kyun karte tujhe yaad miyaan
dhoop lagti hai to chaanv ki taraf dekhte hain
kya khasaara hai inhen bacchon ka ghar basne mein
ham ta'ajjub se buzurgon ki taraf dekhte hain
jin ko aasaani se deedaar mayassar hai tira
vo kahaan baagh mein phoolon ki taraf dekhte hain
pehla mauqa hai mohabbat ki taraf-dari ka
kabhi us ko kabhi logon ki taraf dekhte hain
नए मुजरिम हैं पुरानों की तरफ़ देखते हैं
मुक़तदी अपने इमामों की तरफ़ देखते हैं
ख़ौफ़ से भाग खड़े होते हैं बुज़दिल फ़ौजी
हम नदामत से शहीदों की तरफ़ देखते हैं
इतना प्यारा है वो चेहरा कि नज़र पड़ते ही
लोग हाथों की लकीरों की तरफ़ देखते हैं
हिज्र रास आता तो क्यूँ करते तुझे याद मियाँ
धूप लगती है तो छाँव की तरफ़ देखते हैं
क्या ख़सारा है इन्हें बच्चों का घर बसने में
हम तअ'ज्जुब से बुज़ुर्गों की तरफ़ देखते हैं
जिन को आसानी से दीदार मयस्सर है तिरा
वो कहाँ बाग़ में फूलों की तरफ़ देखते हैं
पहला मौक़ा है मोहब्बत की तरफ़-दारी का
कभी उस को कभी लोगों की तरफ़ देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Ariz
our suggestion based on Nadir Ariz
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari