mere mitne pe gar tu bhi mita hota to kya hota | मिरे मिटने पे गर तू भी मिटा होता तो क्या होता

  - Nadir Shahjahanpuri

mere mitne pe gar tu bhi mita hota to kya hota
tujhe bhi sabr ai dil aa gaya hota to kya hota

chale aate hain laakhon sarfaroshi ki tamannaa mein
tira koocha agar daarushshifaa hota to kya hota

adam se main na aata is jahaan mein gham uthaane ko
agar hasti mujhe tera pata hota to kya hota

tujhi pe munsifi hai le tu hi insaaf se kah de
agar teri tarah main bewafa hota to kya hota

sitaare kyun dikhaati mujh ko din bhar meri naakaami
vo shab ko mal ke afshaan aa gaya hota to kya hota

sar-e-shooreeda ko main pattharon se fodata firta
but-e-kaafir jo tu mera khuda hota to kya hota

sabaat us ko nahin phir bhi fida hai hazrat-e-insaan
jo ye daar-e-fanaa daar-e-baqa hota to kya hota

kisi ke paas rah kar bhi tadpate hijr mein naadir
hamein jannat mein bhi kuchh aasraa hota to kya hota

मिरे मिटने पे गर तू भी मिटा होता तो क्या होता
तुझे भी सब्र ऐ दिल आ गया होता तो क्या होता

चले आते हैं लाखों सरफ़रोशी की तमन्ना में
तिरा कूचा अगर दारुश्शिफ़ा होता तो क्या होता

अदम से मैं न आता इस जहाँ में ग़म उठाने को
अगर हस्ती मुझे तेरा पता होता तो क्या होता

तुझी पे मुंसिफ़ी है ले तू ही इंसाफ़ से कह दे
अगर तेरी तरह मैं बेवफ़ा होता तो क्या होता

सितारे क्यूँ दिखाती मुझ को दिन भर मेरी नाकामी
वो शब को मल के अफ़्शाँ आ गया होता तो क्या होता

सर-ए-शोरीदा को मैं पत्थरों से फोड़ता फिरता
बुत-ए-काफ़िर जो तू मेरा ख़ुदा होता तो क्या होता

सबात उस को नहीं फिर भी फ़िदा है हज़रत-ए-इंसाँ
जो ये दार-ए-फ़ना दार-ए-बक़ा होता तो क्या होता

किसी के पास रह कर भी तड़पते हिज्र में 'नादिर'
हमें जन्नत में भी कुछ आसरा होता तो क्या होता

  - Nadir Shahjahanpuri

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari