zindagi apni kaamyaab nahin | ज़िंदगी अपनी कामयाब नहीं

  - Nadir Shahjahanpuri

zindagi apni kaamyaab nahin
gham-e-dauraan ka kuchh hisaab nahin

dard jis mein na ho vo dil kaisa
naaz jis mein na ho shabaab nahin

mauj-e-dariya ko chahiye tezi
jo uthaaye na sar habaab nahin

dost teri hareem-e-aqdas mein
ek banda hi baaryaab nahin

khwaab-e-marg aayega zaroor ik din
ye haqeeqat hai koi khwaab nahin

tere baab-e-qubool par yaarab
arz meri hi mustajaab nahin

kaam ye la jawaab karte ho
mere khat ka koi jawaab nahin

mere jurmon ka kuchh hisaab to hai
tere hi rehm ka hisaab nahin

kya karoon teri deed ki hasrat
jab mujhe dekhne ki taab nahin

dekh gahri nazar se dariya ko
koi aisi khuli kitaab nahin

tujh se bekas hain saikron naadir
zer-e-gardoon tu hi kharab nahin

ज़िंदगी अपनी कामयाब नहीं
ग़म-ए-दौराँ का कुछ हिसाब नहीं

दर्द जिस में न हो वो दिल कैसा
नाज़ जिस में न हो शबाब नहीं

मौज-ए-दरिया को चाहिए तेज़ी
जो उठाए न सर हबाब नहीं

दोस्त तेरी हरीम-ए-अक़्दस में
एक बंदा ही बारयाब नहीं

ख़्वाब-ए-मर्ग आएगा ज़रूर इक दिन
ये हक़ीक़त है कोई ख़्वाब नहीं

तेरे बाब-ए-क़ुबूल पर यारब
अर्ज़ मेरी ही मुस्तजाब नहीं

काम ये ला जवाब करते हो
मेरे ख़त का कोई जवाब नहीं

मेरे जुर्मों का कुछ हिसाब तो है
तेरे ही रहम का हिसाब नहीं

क्या करूँ तेरी दीद की हसरत
जब मुझे देखने की ताब नहीं

देख गहरी नज़र से दरिया को
कोई ऐसी खुली किताब नहीं

तुझ से बेकस हैं सैकड़ों 'नादिर'
ज़ेर-ए-गर्दूं तू ही ख़राब नहीं

  - Nadir Shahjahanpuri

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari