lagta nahin kahi bhi mera dil tire baghair | लगता नहीं कहीं भी मिरा दिल तिरे बग़ैर

  - Nadir Shahjahanpuri

lagta nahin kahi bhi mera dil tire baghair
dono jahaan nahin mere qaabil tire baghair

kuchh lutf-e-zindagi nahin haasil tire baghair
pal bhar guzaarna bhi hai mushkil tire baghair

tu hi nahin to kaun kare meri rahbari
kattee nahin hayaat ki manzil tire baghair

dil par mere hi shaak nahin hai tira firaq
khaamosh hain chaman mein anaadil tire baghair

phoolon ke ibtisaam pe aati hai ab hasi
aisa bujha hua hai mera dil tire baghair

hosh-o-hawaas-o-aql-o-khirad de gaye jawaab
yaani nahin hoon main kisi qaabil tire baghair

har dam ye soch hai mere jeene se faaeda
jab maqsd-e-hayaat hai baatil tire baghair

takmeel-e-aarzoo se hai takmeel-e-zindagi
kyunkar ho zindagi meri kaamil tire baghair

kashti nikal to aayi hai girdaab se magar
dil doobne laga lab-e-saahil tire baghair

har dam tadap ke lottā firta hoon khaak par
goya bana hoon tāir-e-bismil tire baghair

aankhen hi pehle roti theen ab to ye qahar hai
rone laga hai khoon mera dil tire baghair

naadir ko jaan dene se kyun rokta hai tu
jeene se bhi hai kya use haasil tire baghair

लगता नहीं कहीं भी मिरा दिल तिरे बग़ैर
दोनों जहाँ नहीं मिरे क़ाबिल तिरे बग़ैर

कुछ लुत्फ़-ए-ज़िंदगी नहीं हासिल तिरे बग़ैर
पल भर गुज़ारना भी है मुश्किल तिरे बग़ैर

तू ही नहीं तो कौन करे मेरी रहबरी
कटती नहीं हयात की मंज़िल तिरे बग़ैर

दिल पर मिरे ही शाक़ नहीं है तिरा फ़िराक़
ख़ामोश हैं चमन में अनादिल तिरे बग़ैर

फूलों के इबतिसाम पे आती है अब हँसी
ऐसा बुझा हुआ है मिरा दिल तिरे बग़ैर

होश-ओ-हवास-ओ-अक़ल-ओ-ख़िरद दे गए जवाब
यानी नहीं हूँ मैं किसी क़ाबिल तिरे बग़ैर

हर दम ये सोच है मिरे जीने से फ़ाएदा
जब मक़्सद-ए-हयात है बातिल तिरे बग़ैर

तकमील-ए-आरज़ू से है तकमील-ए-ज़िंदगी
क्यूँकर हो ज़िंदगी मिरी कामिल तिरे बग़ैर

कश्ती निकल तो आई है गिर्दाब से मगर
दिल डूबने लगा लब-ए-साहिल तिरे बग़ैर

हर दम तड़प के लोटता फिरता हूँ ख़ाक पर
गोया बना हूँ ताइर-ए-बिस्मिल तिरे बग़ैर

आँखें ही पहले रोती थीं अब तो ये क़हर है
रोने लगा है ख़ून मिरा दिल तिरे बग़ैर

'नादिर' को जान देने से क्यूँ रोकता है तू
जीने से भी है क्या उसे हासिल तिरे बग़ैर

  - Nadir Shahjahanpuri

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari