dil mit gaya to khair zaroorat nahin rahi | दिल मिट गया तो ख़ैर ज़रूरत नहीं रही

  - Nadir Shahjahanpuri

dil mit gaya to khair zaroorat nahin rahi
hasrat ye rah gai hai ki hasrat nahin rahi

ye dil badal gaya ki zamaana badal gaya
ya teri aankh mein vo muravvat nahin rahi

teri nazar ke saath badalta raha hai dil
do roz bhi to ek si haalat nahin rahi

tar-daamani se haath na dho ai dil-e-hazeen
kya ab khuda ki josh pe rahmat nahin rahi

dekhega khwaab mein bhi na vo soorat-e-sukoon
jis ko khuda se chashm-e-inaayat nahin rahi

un ki gali nahin hai na un ka hareem hai
jannat bhi mere vaaste jannat nahin rahi

kis shab tadap tadap ke na kaatee tamaam shab
kis roz mere ghar pe qayamat nahin rahi

naadir na aaye harf tumhaari zabaan par
vo sher kya hai jis mein fasaahat nahin rahi

दिल मिट गया तो ख़ैर ज़रूरत नहीं रही
हसरत ये रह गई है कि हसरत नहीं रही

ये दिल बदल गया कि ज़माना बदल गया
या तेरी आँख में वो मुरव्वत नहीं रही

तेरी नज़र के साथ बदलता रहा है दिल
दो रोज़ भी तो एक सी हालत नहीं रही

तर-दामनी से हाथ न धो ऐ दिल-ए-हज़ीं
क्या अब ख़ुदा की जोश पे रहमत नहीं रही

देखेगा ख़्वाब में भी न वो सूरत-ए-सुकूँ
जिस को ख़ुदा से चश्म-ए-इनायत नहीं रही

उन की गली नहीं है न उन का हरीम है
जन्नत भी मेरे वास्ते जन्नत नहीं रही

किस शब तड़प तड़प के न काटी तमाम शब
किस रोज़ मेरे घर पे क़यामत नहीं रही

'नादिर' न आए हर्फ़ तुम्हारी ज़बान पर
वो शेर क्या है जिस में फ़साहत नहीं रही

  - Nadir Shahjahanpuri

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari