koi us zalim ko samjhaata nahin | कोई उस ज़ालिम को समझाता नहीं - Nadir Shahjahanpuri

koi us zalim ko samjhaata nahin
vo sitam karne se baaz aata nahin

dast-e-gham mein kab mera naqsh-e-qadam
har qadam pe aankh dikhaata nahin

dard-e-furqat se zabaan daanton mein hai
kya kahoon kuch bhi kaha jaata nahin

chashm-e-dil se dekh use tu dekh le
chashm-e-zaahir se nazar aata nahin

sabr-e-shauq-e-wasl-e-jaanaan kya karoon
par laga kar bhi uda jaata nahin

kab khayal-e-zulf mein har raat ko
dil pe mere saanp lehraata nahin

gul se nisbat kiya tire rukhsaar ko
ye to vo gul hai jo kumhlaata nahin

dard-e-furqat se hai ab honton pe dam
phir bhi zalim ko taras aata nahin

jaan li hai jalvā-e-rukhṣār ne
qabr ki zulmat se ghabraata nahin

husn ki khuddaariyaan to dekhiye
be-khudi mein bhi vo haath aata nahin

vo nahin aate to naadir kya gala
hosh jab do do dopahar aata nahin

कोई उस ज़ालिम को समझाता नहीं
वो सितम करने से बाज़ आता नहीं

दश्त-ए-ग़म में कब मिरा नक़्श-ए-क़दम
हर क़दम पे आँख दिखलाता नहीं

दर्द-ए-फ़ुर्क़त से ज़बाँ दाँतों में है
क्या कहूँ कुछ भी कहा जाता नहीं

चश्म-ए-दिल से देख उसे तू देख ले
चश्म-ए-ज़ाहिर से नज़र आता नहीं

सब्र-ए-शौक़-ए-वस्ल-ए-जानाँ क्या करूँ
पर लगा कर भी उड़ा जाता नहीं

कब ख़याल-ए-ज़ुल्फ़ में हर रात को
दिल पे मेरे साँप लहराता नहीं

गुल से निस्बत किया तिरे रुख़्सार को
ये तो वो गुल है जो कुम्हलाता नहीं

दर्द-ए-फ़ुर्क़त से है अब होंटों पे दम
फिर भी ज़ालिम को तरस आता नहीं

जान ली है जल्वा-ए-रुख़सार ने
क़ब्र की ज़ुल्मत से घबराता नहीं

हुस्न की ख़ुद्दारियाँ तो देखिए
बे-ख़ुदी में भी वो हाथ आता नहीं

वो नहीं आते तो नादिर क्या गला
होश जब दो दो दोपहर आता नहीं

- Nadir Shahjahanpuri
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari