loot gaya dil kahaan nahin maaloom | लुट गया दिल कहाँ नहीं मालूम - Nadir Shahjahanpuri

loot gaya dil kahaan nahin maaloom
kya hua hai ziyaan nahin maaloom

ab qafas mein hi rahne de sayyaad
tha kahaan aashiyaan nahin maaloom

tu hi aa kar sikha de o bulbul
mujh ko tarz-e-fughaan nahin maaloom

aap hi se faqat hai dilchaspi
aur dilchaspian nahin maaloom

waaye taqdeer kya qayamat hai
jaaye dard-e-nihaan nahin maaloom

yaad hone lagi kahaan apni
aayein kyun hichakiyaan nahin maaloom

mujh ko teri kahaani aati hai
aur koi dastaan nahin maaloom

main azal se fidaai hoon jis ka
us ka naam-o-nishaan nahin maaloom

paerav-e-meer hoon main ai naadir
gair ko ye zabaan nahin maaloom

लुट गया दिल कहाँ नहीं मालूम
क्या हुआ है ज़ियाँ नहीं मालूम

अब क़फ़स में ही रहने दे सय्याद
था कहाँ आशियाँ नहीं मालूम

तू ही आ कर सिखा दे ओ बुलबुल
मुझ को तर्ज़-ए-फ़ुग़ाँ नहीं मालूम

आप ही से फ़क़त है दिलचस्पी
और दिलचस्पियाँ नहीं मालूम

वाए तक़दीर क्या क़यामत है
जाए दर्द-ए-निहाँ नहीं मालूम

याद होने लगी कहाँ अपनी
आईं क्यूँ हिचकियाँ नहीं मालूम

मुझ को तेरी कहानी आती है
और कोई दास्ताँ नहीं मालूम

मैं अज़ल से फ़िदाई हूँ जिस का
उस का नाम-ओ-निशाँ नहीं मालूम

पैरव-ए-मीर हूँ मैं'' ऐ 'नादिर'
ग़ैर को ये ज़बाँ नहीं मालूम

- Nadir Shahjahanpuri
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari