ham un ke gham mein tadap rahe hain jo gair se dil laga chuke hain | हम उन के ग़म में तड़प रहे हैं जो ग़ैर से दिल लगा चुके हैं

  - Nadir Shahjahanpuri

ham un ke gham mein tadap rahe hain jo gair se dil laga chuke hain
hamaare dil mein hai yaad un ki jo ham ko dil se bhula chuke hain

balā-e-mahshar bhi sahal un ko azaab-e-dozakh bhi un ko aasaan
jo teri ulfat mein apne dil par gham-e-judai utha chuke hain

adoo se ja kar karo ye baatein wahin guzaaro tum apni raatein
tumhaari baaton mein aa chuke ham tumhein bahut aazma chuke hain

agar na aayein nazar na aayein nahin hai kuchh bhi khayal is ka
kahaan vo jaayenge munh chhupa kar hamaare dil mein jab aa chuke hain

ye kya qayamat hai ya ilaahi ki un ki aamad ka haal sun kar
shakeb-o-sabr-o-qaraar hosh-o-hawas pehle hi ja chuke hain

khayal kuchh bhi nahin hai tujh ko but-e-parīvash hamaara ham to
tiri mohabbat mein naqd-e-jaan-o-dil-o-jigar bhi luta chuke hain

buton ko dena na bhool kar dil na un pe hona zara bhi maail
nahin hai juz ranj un se haasil tujhe ye naadir jata chuke hain

हम उन के ग़म में तड़प रहे हैं जो ग़ैर से दिल लगा चुके हैं
हमारे दिल में है याद उन की जो हम को दिल से भुला चुके हैं

बला-ए-महशर भी सहल उन को अज़ाब-ए-दोज़ख़ भी उन को आसाँ
जो तेरी उल्फ़त में अपने दिल पर ग़म-ए-जुदाई उठा चुके हैं

अदू से जा कर करो ये बातें वहीं गुज़ारो तुम अपनी रातें
तुम्हारी बातों में आ चुके हम तुम्हें बहुत आज़मा चुके हैं

अगर न आएँ नज़र न आएँ नहीं है कुछ भी ख़याल इस का
कहाँ वो जाएँगे मुँह छुपा कर हमारे दिल में जब आ चुके हैं

ये क्या क़यामत है या इलाही कि उन की आमद का हाल सुन कर
शकेब-ओ-सब्र-ओ-क़रार होश-ओ-हवास पहले ही जा चुके हैं

ख़याल कुछ भी नहीं है तुझ को बुत-ए-परीवश हमारा हम तो
तिरी मोहब्बत में नक़्द-ए-जान-ओ-दिल-ओ-जिगर भी लुटा चुके हैं

बुतों को देना न भूल कर दिल न उन पे होना ज़रा भी माइल
नहीं है जुज़ रंज उन से हासिल तुझे ये 'नादिर' जता चुके हैं

  - Nadir Shahjahanpuri

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari