kiye qaraar magar be-qaraar hi rakha
hamein to aap ne ummeed-waar hi rakha
pas-e-fana bhi falak ne ghubaar hi rakha
na rakhi khaak na sang-e-mazaar hi rakha
kisi ke dard-e-judai ne ham ko jeete jee
misaal-e-abr-e-siyah ashk-baar hi rakha
main tegh-e-yaar ka kyun kar na dam bharoon jis ne
maze khalish ke diye dil-figaar hi rakha
mila na chain kabhi ham ko khaak ho kar bhi
falak ne dosh-e-sabā par sawaar hi rakha
khyaal-e-aariz-e-rangeen ne roz aa aa kar
khizaan mein bhi hamein mahv-e-bahaar hi rakha
kisi ki chashm-e-mukayyaf ne kiya kahi naadir
tamaam umr hamein baada-khwaar hi rakha
किए क़रार मगर बे-क़रार ही रक्खा
हमें तो आप ने उम्मीद-वार ही रक्खा
पस-ए-फ़ना भी फ़लक ने ग़ुबार ही रक्खा
न रक्खी ख़ाक न संग-ए-मज़ार ही रक्खा
किसी के दर्द-ए-जुदाई ने हम को जीते जी
मिसाल-ए-अब्र-ए-सियह अश्क-बार ही रक्खा
मैं तेग़-ए-यार का क्यूँ कर न दम भरूँ जिस ने
मज़े ख़लिश के दिए दिल-फ़िगार ही रक्खा
मिला न चैन कभी हम को ख़ाक हो कर भी
फ़लक ने दोश-ए-सबा पर सवार ही रक्खा
ख़याल-ए-आरिज़-ए-रंगीं ने रोज़ आ आ कर
ख़िज़ाँ में भी हमें महव-ए-बहार ही रक्खा
किसी की चश्म-ए-मुकयफ़ ने किया कहीं 'नादिर'
तमाम उम्र हमें बादा-ख़्वार ही रक्खा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri
our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri
As you were reading Budhapa Shayari Shayari