maangna kaam mujh sawaali ka | माँगना काम मुझ सवाली का

  - Nadir Shahjahanpuri

maangna kaam mujh sawaali ka
bakshna teri zaat-e-aalī ka

kyun giraaya hai apni nazaron se
hukm kar de meri bahaali ka

tu hi vo phool hai jo hai mehboob
patte patte ka daali daali ka

baat jo bhi kaho vo saaf kaho
kaam kiya fazl-e-ehtimaalī ka

jal bujhunga bhadak ke dam bhar mein
main hoon goya diya diwali ka

naadir aisa kalaam hai mera
saad hai jis pe la-zawaali ka

माँगना काम मुझ सवाली का
बख़्शना तेरी ज़ात-ए-आली का

क्यूँ गिराया है अपनी नज़रों से
हुक्म कर दे मिरी बहाली का

तू ही वो फूल है जो है महबूब
पत्ते पत्ते का डाली डाली का

बात जो भी कहो वो साफ़ कहो
काम किया फ़ज़्ल-ए-एहतिमाली का

जल बुझूँगा भड़क के दम भर में
मैं हूँ गोया दिया दिवाली का

'नादिर' ऐसा कलाम है मेरा
साद है जिस पे ला-ज़वाली का

  - Nadir Shahjahanpuri

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari