ham dil fida karein ki tasadduq-e-jigar karein
jo bhi kahein huzoor wahi umr bhar karein
kuchh ab to aap chaara-e-dard-e-jigar karein
mujh par nahin to apne karam par nazar karein
kuchh baat hai labon pe jo mohr-e-sukoot hai
karne ko naale shaam se ham ta-sehr karein
tool-e-shab-e-firaq se ghabra gaya hai jee
ai kaash aap qissa mera mukhtasar karein
le chupke chupke kaam kiye ja gham-e-firaq
duniya ko ghar ki baat se kya ba-khabar karein
naadir yahi hai asal mein meraaj-e-bandagi
yaad un ki un ke ishq se bhi pesh-tar karein
हम दिल फ़िदा करें कि तसद्दुक़-ए-जिगर करें
जो भी कहें हुज़ूर वही उम्र भर करें
कुछ अब तो आप चारा-ए-दर्द-ए-जिगर करें
मुझ पर नहीं तो अपने करम पर नज़र करें
कुछ बात है लबों पे जो मोहर-ए-सुकूत है
करने को नाले शाम से हम ता-सहर करें
तूल-ए-शब-ए-फ़िराक़ से घबरा गया है जी
ऐ काश आप क़िस्सा मिरा मुख़्तसर करें
ले चुपके चुपके काम किए जा ग़म-ए-फ़िराक़
दुनिया को घर की बात से क्या बा-ख़बर करें
'नादिर' यही है असल में मेराज-ए-बंदगी
याद उन की उन के इश्क़ से भी पेश-तर करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Shahjahanpuri
our suggestion based on Nadir Shahjahanpuri
As you were reading Valentine Shayari Shayari