justuju ka nidar qaafila | जुस्तुजू का निडर क़ाफ़िला

  - Nahid Qasmi

justuju ka nidar qaafila
mishalein thaam kar raat ko cheerata
hansta gaata hua apni manzil ki jaanib ravana hua
sab ke chehron par raushan hui kaavishein
khojee aankhon mein jhilmil sitaare jale
kitni raushan fazaa kitni raushan fazaa
aao apne qadam tez kar len ki vo saamne apni mehnat ka pauda tanaawar shajar ban gaya

par ye raushan fazaa mein dhundlaka sa kyun chha gaya
mishalon ko jalaae rakho saathiyo geet gaate raho aage badhte raho
ek chamkeela gosha dikhaai nahin de raha kin andheron ki faujon ka hamla hua
mishalon ko jalaae rakho
manzilen to qareeb aa gaeein
phir ye qadmon mein bedi si kya
phir ye aankhon pe baadal se kyun

mish'alon ki qataarein ruki aur chalte hue saaye bhi tham gaye
geet sab tauq-e-gardan hue
qaafila dayra ban gaya jhuk gaya ro diya
ek manzar sada ke liye geeli aankhon mein zinda hua
ek baazu gira
ek mish'aal bujhi
ek raushan jawaan justuju so gai
ek chamkeela gosha andhera hua

जुस्तुजू का निडर क़ाफ़िला
मिशअलें थाम कर, रात को चीरता
हँसता गाता हुआ, अपनी मंज़िल की जानिब रवाना हुआ
सब के चेहरों पर रौशन हुईं काविशें
खोजी आँखों में झिलमिल सितारे जले
कितनी रौशन फ़ज़ा कितनी रौशन फ़ज़ा!!
आओ अपने क़दम तेज़ कर लें कि वो सामने अपनी मेहनत का पौदा तनावर शजर बन गया

पर ये रौशन फ़ज़ा में धुँदलका सा क्यूँ छा गया
(मिशअलों को जलाए रखो साथियो, गीत गाते रहो, आगे बढ़ते रहो)
एक चमकीला गोशा दिखाई नहीं दे रहा, किन अंधेरों की फ़ौजों का हमला हुआ
(मिशअलों को जलाए रखो)
मंज़िलें तो क़रीब आ गईं
फिर ये क़दमों में बेड़ी सी क्या!
फिर ये आँखों पे बादल से क्यूँ

मिश्अलों की क़तारें रुकीं (और चलते हुए साए भी थम गए)
गीत सब तौक़-ए-गर्दन हुए
क़ाफ़िला दायरा बन गया झुक गया रो दिया
एक मंज़र सदा के लिए गीली आँखों में ज़िंदा हुआ
एक बाज़ू गिरा
एक मिशअल बुझी
एक रौशन जवाँ जुस्तुजू सो गई
एक चमकीला गोशा अंधेरा हुआ

  - Nahid Qasmi

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Nahid Qasmi

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari