peete rahein zahreeli rishton ki sharaab
ab aur na deeje jhoote vaadon ki sharaab
hai may-kada ghar ke bahut nazdeek mein
hai may-kade mein saare zakhmon ki sharaab
mere gale se ye utarti hi nahin
kadvi bahut hai teri yaadon ki sharaab
kuchh yun shab-e-gham ko kiya tha mukhtasar
kal raat hamne pee sitaaron ki sharaab
yaaron tumhaare jaam paani ho gaye
mujhko pilao uske haathon ki sharaab
hamko diya hai shayari ne ye nasha
ham roz peete hai kitaabon ki sharaab
ab ye gulaab aankhon mein chubhte hain bahut
koi bana de in gulaabon ki sharaab
din mein kahi mar jaati hai ye zindagi
zinda hamein rakhti hai raaton ki sharaab
पीते रहें ज़हरीले रिश्तों की शराब
अब और न दीजे झूटे वादों की शराब
है मय-कदा घर के बहुत नज़दीक में
है मय-कदे में सारे ज़ख्मों की शराब
मेरे गले से ये उतरती ही नहीं
कड़वी बहुत है तेरी यादों की शराब
कुछ यूँ शब-ए-ग़म को किया था मुख़्तसर
कल रात हमनें पी सितारों की शराब
यारों तुम्हारे जाम पानी हो गए
मुझको पिलाओ उसके हाथों की शराब
हमको दिया है शायरी ने ये नशा
हम रोज़ पीते है किताबों की शराब
अब ये गुलाब आँखों में चुभते हैं बहुत
कोई बना दे इन गुलाबों की शराब
दिन में कहीं मर जाती है ये ज़िंदगी
ज़िन्दा हमें रखती है रातों की शराब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nakul kumar
our suggestion based on Nakul kumar
As you were reading Maikashi Shayari Shayari