khwaab mein raat ham ne kya dekha
aankh khulte hi chaand sa dekha
kiyaariyaan dhool se ati paai
aashiyana jala hua dekha
faakhta sar-nigoon babulon mein
phool ko phool se juda dekha
us ne manzil pe la ke chhod diya
umr bhar jis ka raasta dekha
ham ne moti samajh ke choom liya
sang-reza jahaan pada dekha
kam-numa ham bhi hain magar pyaare
koi tujh sa na khud-numa dekha
ख़्वाब में रात हम ने क्या देखा
आँख खुलते ही चाँद सा देखा
कियारियाँ धूल से अटी पाईं
आशियाना जला हुआ देखा
फ़ाख़्ता सर-निगूँ बबूलों में
फूल को फूल से जुदा देखा
उस ने मंज़िल पे ला के छोड़ दिया
उम्र भर जिस का रास्ता देखा
हम ने मोती समझ के चूम लिया
संग-रेज़ा जहाँ पड़ा देखा
कम-नुमा हम भी हैं मगर प्यारे
कोई तुझ सा न ख़ुद-नुमा देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nasir Kazmi
our suggestion based on Nasir Kazmi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari