waqt pe yun na aana galat baat hai | वक्त पे यूँ न आना, ग़लत बात है

  - Naved sahil

waqt pe yun na aana galat baat hai
phir bahaane se jaana galat baat hai

aadhi raaton mein ham kisko awaaz den
neend se yun jagaana galat baat hai

nafratoin se bhari jaisi duniya hai ye
ismein ulfat nibhaana galat baat hai

jinka ghar mein koi aur saathi na ho
uska deepak bujhaana galat baat hai

वक्त पे यूँ न आना, ग़लत बात है
फिर बहाने से जाना, ग़लत बात है

आधी रातों में हम किसको आवाज़ दें
नींद से यूँ जगाना, ग़लत बात है

नफ़रतों से भरी जैसी दुनिया है ये
इसमें उल्फ़त निभाना, ग़लत बात है

जिनका घर में कोई और साथी ना हो
उसका दीपक बुझाना, ग़लत बात है

  - Naved sahil

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naved sahil

As you were reading Shayari by Naved sahil

Similar Writers

our suggestion based on Naved sahil

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari