raakhi | "राखी"

  - Nazeer Akbarabadi

raakhi

chali aati hai ab to har kahi bazaar ki raakhi
sunhari sabz resham zard aur gulnaar ki raakhi
bani hai go ki naadir khoob har sardaar ki raakhi
salonon mein ajab rangeen hai us dildaar ki raakhi
na pahunchen ek gul ko yaar jis gulzaar ki raakhi

ayaan hai ab to raakhi bhi chaman bhi gul bhi shabnam bhi
jhamak jaata hai moti aur jhalak jaata hai resham bhi
tamasha hai aha haa-haa ghaneemat hai ye aalam bhi
uthaana haath pyaare waah-wa tuk dekh len ham bhi
tumhaari motiyon ki aur zari ke taar ki raakhi

machi hai har taraf kya kya salonon ki bahaar ab to
har ik gul-roo phire hai raakhi baandhe haath mein khush ho
havas jo dil mein guzre hai kahoon kya aah main tum ko
yahi aata hai jee mein ban ke baamhan aaj to yaaro
main apne haath se pyaare ke baandhoon pyaar ki raakhi

hui hai zeb-o-zeenat aur khooban ko to raakhi se
v-lekin tum se ai jaan aur kuchh raakhi ke gul phoole
divaani bulbulein hon dekh gul chunne lagin tinke
tumhaare haath ne mehndi ne angushton ne nakhun ne
gulistaan ki chaman ki baagh ki gulzaar ki raakhi

ada se haath uthte hain gul-e-raakhi jo hilte hain
kaleje dekhne waalon ke kya kya aah chhilte hain
kahaan naazuk ye pahunchen aur kahaan ye rang milte hain
chaman mein shaakh par kab is tarah ke phool khilte hain
jo kuchh khoobi mein hai us shokh-e-gul-rukhsaar ki raakhi

phiren hain raakhiyaan baandhe jo har dam husn ke taare
to un ki raakhiyon ko dekh ai jaan chaav ke maare
pahan zunnar aur qashka laga maathe upar baare
nazeer aaya hai baamhan ban ke raakhi baandhne pyaare
bandha lo us se tum hans kar ab is tyaohar ki raakhi

"राखी"

चली आती है अब तो हर कहीं बाज़ार की राखी
सुनहरी सब्ज़ रेशम ज़र्द और गुलनार की राखी
बनी है गो कि नादिर ख़ूब हर सरदार की राखी
सलोनों में अजब रंगीं है उस दिलदार की राखी
न पहुँचे एक गुल को यार जिस गुलज़ार की राखी

अयाँ है अब तो राखी भी चमन भी गुल भी शबनम भी
झमक जाता है मोती और झलक जाता है रेशम भी
तमाशा है अहा हा-हा ग़नीमत है ये आलम भी
उठाना हाथ प्यारे वाह-वा टुक देख लें हम भी
तुम्हारी मोतियों की और ज़री के तार की राखी

मची है हर तरफ़ क्या क्या सलोनों की बहार अब तो
हर इक गुल-रू फिरे है राखी बाँधे हाथ में ख़ुश हो
हवस जो दिल में गुज़रे है कहूँ क्या आह मैं तुम को
यही आता है जी में बन के बाम्हन, आज तो यारो
मैं अपने हाथ से प्यारे के बाँधूँ प्यार की राखी

हुई है ज़ेब-ओ-ज़ीनत और ख़ूबाँ को तो राखी से
व-लेकिन तुम से ऐ जाँ और कुछ राखी के गुल फूले
दिवानी बुलबुलें हों देख गुल चुनने लगीं तिनके
तुम्हारे हाथ ने मेहंदी ने अंगुश्तों ने नाख़ुन ने
गुलिस्ताँ की चमन की बाग़ की गुलज़ार की राखी

अदा से हाथ उठते हैं गुल-ए-राखी जो हिलते हैं
कलेजे देखने वालों के क्या क्या आह छिलते हैं
कहाँ नाज़ुक ये पहुँचे और कहाँ ये रंग मिलते हैं
चमन में शाख़ पर कब इस तरह के फूल खिलते हैं
जो कुछ ख़ूबी में है उस शोख़-ए-गुल-रुख़्सार की राखी

फिरें हैं राखियाँ बाँधे जो हर दम हुस्न के तारे
तो उन की राखियों को देख ऐ जाँ चाव के मारे
पहन ज़ुन्नार और क़श्क़ा लगा माथे उपर बारे
'नज़ीर' आया है बाम्हन बन के राखी बाँधने प्यारे
बँधा लो उस से तुम हँस कर अब इस त्यौहार की राखी

  - Nazeer Akbarabadi

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazeer Akbarabadi

As you were reading Shayari by Nazeer Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Nazeer Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari