aaj zara furqat paai thi aaj use phir yaad kiya | आज ज़रा फ़ुर्सत पाई थी आज उसे फिर याद किया - Nida Fazli

aaj zara furqat paai thi aaj use phir yaad kiya
band gali ke aakhiri ghar ko khol ke phir aabaad kiya

khol ke khidki chaand hansa phir chaand ne dono haathon se
rang udaaye phool khilaaye chidiyon ko azaad kiya

bade bade gham khade hue the rasta roke raahon mein
chhoti chhoti khushiyon se hi ham ne dil ko shaad kiya

baat bahut ma'amooli si thi uljh gai takraaron mein
ek zara si zid ne aakhir dono ko barbaad kiya

daanaaon ki baat na maani kaam aayi nadaani hi
suna hawa ko padha nadi ko mausam ko ustaad kiya

आज ज़रा फ़ुर्सत पाई थी आज उसे फिर याद किया
बंद गली के आख़िरी घर को खोल के फिर आबाद किया

खोल के खिड़की चाँद हँसा फिर चाँद ने दोनों हाथों से
रंग उड़ाए फूल खिलाए चिड़ियों को आज़ाद किया

बड़े बड़े ग़म खड़े हुए थे रस्ता रोके राहों में
छोटी छोटी ख़ुशियों से ही हम ने दिल को शाद किया

बात बहुत मा'मूली सी थी उलझ गई तकरारों में
एक ज़रा सी ज़िद ने आख़िर दोनों को बरबाद किया

दानाओं की बात न मानी काम आई नादानी ही
सुना हवा को पढ़ा नदी को मौसम को उस्ताद किया

- Nida Fazli
1 Like

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari