garj-baras pyaasi dharti par phir paani de maula | गरज-बरस प्यासी धरती पर फिर पानी दे मौला - Nida Fazli

garj-baras pyaasi dharti par phir paani de maula
chidiyon ko daane bacchon ko gud-dhaani de maula

do aur do ka jod hamesha chaar kahaan hota hai
soch samajh waalon ko thodi nadaani de maula

phir raushan kar zahar ka pyaala chamka nayi saleeben
jhooton ki duniya mein sach ko tabaani de maula

phir moorat se baahar aa kar chaaron or bikhar ja
phir mandir ko koi meera deewani de maula

tere hote koi kis ki jaan ka dushman kyun ho
jeene waalon ko marne ki aasaani de maula

गरज-बरस प्यासी धरती पर फिर पानी दे मौला
चिड़ियों को दाने बच्चों को गुड़-धानी दे मौला

दो और दो का जोड़ हमेशा चार कहाँ होता है
सोच समझ वालों को थोड़ी नादानी दे मौला

फिर रौशन कर ज़हर का प्याला चमका नई सलीबें
झूटों की दुनिया में सच को ताबानी दे मौला

फिर मूरत से बाहर आ कर चारों ओर बिखर जा
फिर मंदिर को कोई 'मीरा' दीवानी दे मौला

तेरे होते कोई किस की जान का दुश्मन क्यूँ हो
जीने वालों को मरने की आसानी दे मौला

- Nida Fazli
1 Like

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari