har ghadi khud se uljhana hai muqaddar mera
main hi kashti hoon mujhi mein hai samundar mera
kis se poochoon ki kahaan gum hoon kai barson se
har jagah dhoondhta firta hai mujhe ghar mera
ek se ho gaye mausamon ke chehre saare
meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera
muddatein beet gaeein khwaab suhaana dekhe
jaagta rehta hai har neend mein bistar mera
aaina dekh ke nikla tha main ghar se baahar
aaj tak haath mein mahfooz hai patthar mera
हर घड़ी ख़ुद से उलझना है मुक़द्दर मेरा
मैं ही कश्ती हूँ मुझी में है समुंदर मेरा
किस से पूछूँ कि कहाँ गुम हूँ कई बरसों से
हर जगह ढूँढता फिरता है मुझे घर मेरा
एक से हो गए मौसमों के चेहरे सारे
मेरी आँखों से कहीं खो गया मंज़र मेरा
मुद्दतें बीत गईं ख़्वाब सुहाना देखे
जागता रहता है हर नींद में बिस्तर मेरा
आइना देख के निकला था मैं घर से बाहर
आज तक हाथ में महफ़ूज़ है पत्थर मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Fantasy Shayari Shayari