koi hangaama uthaya jaaye
be-sabab shor machaaya jaaye
kis ke aangan mein nahin deewarein
kis ko jungle mein bulaaya jaaye
us se do-chaar baar aur milen
jis ko dil se na bhulaaya jaaye
mar gaya saanp nadi khushk hui
ret ka dher uthaya jaaye
कोई हंगामा उठाया जाए
बे-सबब शोर मचाया जाए
किस के आँगन में नहीं दीवारें
किस को जंगल में बुलाया जाए
उस से दो-चार बार और मिलें
जिस को दिल से न भुलाया जाए
मर गया साँप नदी ख़ुश्क हुई
रेत का ढेर उठाया जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Aangan Shayari Shayari