nazdeekiyon mein door ka manzar talash kar
jo haath mein nahin hai vo patthar talash kar
suraj ke ird-gird bhatkne se faaeda
dariya hua hai gum to samundar talash kar
taarikh mein mahal bhi hai haakim bhi takht bhi
gumnaam jo hue hain vo lashkar talash kar
rehta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sada
darwaaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar
koshish bhi kar umeed bhi rakh raasta bhi chun
phir is ke baad thoda muqaddar talash kar
नज़दीकियों में दूर का मंज़र तलाश कर
जो हाथ में नहीं है वो पत्थर तलाश कर
सूरज के इर्द-गिर्द भटकने से फ़ाएदा
दरिया हुआ है गुम तो समुंदर तलाश कर
तारीख़ में महल भी है हाकिम भी तख़्त भी
गुमनाम जो हुए हैं वो लश्कर तलाश कर
रहता नहीं है कुछ भी यहाँ एक सा सदा
दरवाज़ा घर का खोल के फिर घर तलाश कर
कोशिश भी कर उमीद भी रख रास्ता भी चुन
फिर इस के बाद थोड़ा मुक़द्दर तलाश कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Travel Shayari Shayari