us ke dushman hain bahut aadmi achha hoga | उस के दुश्मन हैं बहुत आदमी अच्छा होगा

  - Nida Fazli

us ke dushman hain bahut aadmi achha hoga
vo bhi meri hi tarah shehar mein tanhaa hoga

itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe
raushni khatm na kar aage andhera hoga

pyaas jis nahar se takraai vo banjar nikli
jis ko peeche kahi chhod aaye vo dariya hoga

mere baare mein koi raay to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga

ek mehfil mein kai mahfilein hoti hain shareek
jis ko bhi paas se dekhoge akela hoga

उस के दुश्मन हैं बहुत आदमी अच्छा होगा
वो भी मेरी ही तरह शहर में तन्हा होगा

इतना सच बोल कि होंटों का तबस्सुम न बुझे
रौशनी ख़त्म न कर आगे अँधेरा होगा

प्यास जिस नहर से टकराई वो बंजर निकली
जिस को पीछे कहीं छोड़ आए वो दरिया होगा

मिरे बारे में कोई राय तो होगी उस की
उस ने मुझ को भी कभी तोड़ के देखा होगा

एक महफ़िल में कई महफ़िलें होती हैं शरीक
जिस को भी पास से देखोगे अकेला होगा

  - Nida Fazli

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari