aur raasta chal raha hai | और रास्ता चल रहा है - Nida Fazli

aur raasta chal raha hai
poster mein vo jo ladki hans rahi hai
nauzwaan tanhaaiyon ko das rahi hai
aasmaan sir par hai pairo'n mein zameen hai
koi laathi hai na bam hai
kya ye kam hai

door basti ke kisi kone mein
kaali daulaton ne
thodi toda phodi ki hai
chalte firte shehar ke
bas ek hi raaste mein gham hai
kya ye kam hai

baasar ladkon ne
is naazuk badan se khela
phir usko tod daala
toote-phoote us badal ka haal
thaane mein rakam hai
kya ye kam hai

khel yoon har jagah hota hai jo
hota rahega
jaanwar hansate rahenge
aadmi rota rahega
zinda laashein yoon hi har akhbaar mein
jaltee raheingi sarhadon par
sarhadon ki goliyaan chalti raheingi
zindagi mein phir bhi
sadiyon se jiye jaane ka dam hai
kya ye kam hai

और रास्ता चल रहा है
पोस्टर में वो जो लड़की हंस रही है
नौज़वां तन्हाइयों को डस रही है
आसमां सिर पर है, पैरों में ज़मीं है
कोई लाठी है न बम है
क्या ये कम है?

दूर बस्ती के किसी कोने में
काली दौलतों ने
थोड़ी तोड़ा फोड़ी की है
चलते फिरते शहर के
बस एक ही रस्ते में ग़म है
क्या ये कम है?

बाअसर लड़कों ने
इस नाज़ुक बदन से खेला
फिर उसको तोड़ डाला
टूटे-फूटे उस बदल का हाल
थाने में रकम है
क्या ये कम है?

खेल यूं हर जगह होता है जो
होता रहेगा....
जानवर हंसते रहेंगे
आदमी रोता रहेगा
ज़िंदा लाशें यूं ही हर अख़बार में
जलती रहेंगी सरहदों पर
सरहदों की गोलियां चलती रहेंगी
जिंदगी में फिर भी
सदियों से जिये जाने का दम है
क्या ये कम है...?

- Nida Fazli
3 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari