faqat chand lamhe
bahut der hai
bas ke aane mein
aao
kahi paas ki lawn par baith jaayen
chatkhta hai meri bhi rag rag mein suraj
bahut der se tum bhi chup chup khadi ho
na main tum se waqif
na tum mujh se waqif
nayi saari baatein naye saare qisse
chamakte hue lafz chamakte lehje
faqat chand ghadiyan
faqat chand lamhe
na main apne dukh-dard ki baat chhedu
na tum apne ghar ki kahaani sunaao
main mausam banuun
tum fazaayein jagao
"फ़क़त चंद लम्हे"
बहुत देर है
बस के आने में
आओ
कहीं पास की लॉन पर बैठ जाएँ
चटख़्ता है मेरी भी रग रग में सूरज
बहुत देर से तुम भी चुप चुप खड़ी हो
न मैं तुम से वाक़िफ़
न तुम मुझ से वाक़िफ़
नई सारी बातें नए सारे क़िस्से
चमकते हुए लफ़्ज़ चमकते लहजे
फ़क़त चंद घड़ियाँ
फ़क़त चंद लम्हे
न मैं अपने दुख-दर्द की बात छेड़ूँ
न तुम अपने घर की कहानी सुनाओ
मैं मौसम बनूँ
तुम फ़ज़ाएँ जगाओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Mausam Shayari Shayari