hawa kis qadar tez hai | हवा किस क़दर तेज़ है

  - Parveen Fana Syed

hawa kis qadar tez hai
ajnabi shaam sanwala gai
waqt dono gale mil chuke
sar pe rakho rida
sun rahi ho
masaajid se uthati hui
rooh-parwar-sadaa
uth ke dekho to
aangan ka dar band hai
ya khula
lekin is waqt tanhaa
khule sar
kahaan ja rahi ho

हवा किस क़दर तेज़ है
अजनबी शाम सँवला गई
वक़्त दोनों गले मिल चुके
सर पे रक्खो रिदा
सुन रही हो
मसाजिद से उठती हुई
रूह-परवर-सदा
उठ के देखो तो
आँगन का दर बंद है
या खुला
लेकिन इस वक़्त तन्हा
खुले सर
कहाँ जा रही हो

  - Parveen Fana Syed

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari