baadbaan khulne se pehle ka ishaara dekhna | बादबाँ खुलने से पहले का इशारा देखना

  - Parveen Shakir

baadbaan khulne se pehle ka ishaara dekhna
main samundar dekhti hoon tum kinaara dekhna

yun bichadna bhi bahut aasaan na tha us se magar
jaate jaate us ka vo mud kar dobara dekhna

kis shabaahat ko liye aaya hai darwaaze pe chaand
ai shab-e-hijraan zara apna sitaara dekhna

kya qayamat hai ki jin ke naam par paspa hue
un hi logon ko muqaabil mein saf-aara dekhna

jab banaam-e-dil gawaahi sar ki maangi jaayegi
khoon mein dooba hua parcham hamaara dekhna

jeetne mein bhi jahaan jee ka ziyaan pehle se hai
aisi baazi haarne mein kya khasaara dekhna

aaine ki aankh hi kuchh kam na thi mere liye
jaane ab kya kya dikhaayega tumhaara dekhna

ek musht-e-khaak aur vo bhi hawa ki zad mein hai
zindagi ki bebaasi ka isti'aara dekhna

बादबाँ खुलने से पहले का इशारा देखना
मैं समुंदर देखती हूँ तुम किनारा देखना

यूँ बिछड़ना भी बहुत आसाँ न था उस से मगर
जाते जाते उस का वो मुड़ कर दोबारा देखना

किस शबाहत को लिए आया है दरवाज़े पे चाँद
ऐ शब-ए-हिज्राँ ज़रा अपना सितारा देखना

क्या क़यामत है कि जिन के नाम पर पसपा हुए
उन ही लोगों को मुक़ाबिल में सफ़-आरा देखना

जब बनाम-ए-दिल गवाही सर की माँगी जाएगी
ख़ून में डूबा हुआ परचम हमारा देखना

जीतने में भी जहाँ जी का ज़ियाँ पहले से है
ऐसी बाज़ी हारने में क्या ख़सारा देखना

आइने की आँख ही कुछ कम न थी मेरे लिए
जाने अब क्या क्या दिखाएगा तुम्हारा देखना

एक मुश्त-ए-ख़ाक और वो भी हवा की ज़द में है
ज़िंदगी की बेबसी का इस्तिआ'रा देखना

  - Parveen Shakir

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari