pa-b-gil sab hain rihaai ki kare tadbeer kaun
dast-basta shehar mein khole meri zanjeer kaun
mera sar haazir hai lekin mera munsif dekh le
kar raha hai meri fard-e-jurm ko tahreer kaun
aaj darwaazon pe dastak jaani pahchaani si hai
aaj mere naam laata hai meri taazeer kaun
koi maqtal ko gaya tha muddaton pehle magar
hai dar-e-khema pe ab tak soorat-e-tasveer kaun
meri chadar to chhini thi shaam ki tanhaai mein
be-ridaai ko meri phir de gaya tashheer kaun
sach jahaan paa-basta mulzim ke katihare mein mile
us adaalat mein sunega adl ki tafseer kaun
neend jab khwaabon se pyaari ho to aise ahad mein
khwaab dekhe kaun aur khwaabon ko de ta'beer kaun
ret abhi pichhle makaanon ki na waapas aayi thi
phir lab-e-saahil gharaunda kar gaya ta'aamir kaun
saare rishte hijraton mein saath dete hain to phir
shehar se jaate hue hota hai daman-geer kaun
dushmanon ke saath mere dost bhi azaad hain
dekhna hai kheenchta hai mujh pe pehla teer kaun
पा-ब-गिल सब हैं रिहाई की करे तदबीर कौन
दस्त-बस्ता शहर में खोले मिरी ज़ंजीर कौन
मेरा सर हाज़िर है लेकिन मेरा मुंसिफ़ देख ले
कर रहा है मेरी फ़र्द-ए-जुर्म को तहरीर कौन
आज दरवाज़ों पे दस्तक जानी पहचानी सी है
आज मेरे नाम लाता है मिरी ताज़ीर कौन
कोई मक़्तल को गया था मुद्दतों पहले मगर
है दर-ए-ख़ेमा पे अब तक सूरत-ए-तस्वीर कौन
मेरी चादर तो छिनी थी शाम की तन्हाई में
बे-रिदाई को मिरी फिर दे गया तश्हीर कौन
सच जहाँ पा-बस्ता मुल्ज़िम के कटहरे में मिले
उस अदालत में सुनेगा अद्ल की तफ़्सीर कौन
नींद जब ख़्वाबों से प्यारी हो तो ऐसे अहद में
ख़्वाब देखे कौन और ख़्वाबों को दे ता'बीर कौन
रेत अभी पिछले मकानों की न वापस आई थी
फिर लब-ए-साहिल घरौंदा कर गया ता'मीर कौन
सारे रिश्ते हिजरतों में साथ देते हैं तो फिर
शहर से जाते हुए होता है दामन-गीर कौन
दुश्मनों के साथ मेरे दोस्त भी आज़ाद हैं
देखना है खींचता है मुझ पे पहला तीर कौन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Aahat Shayari Shayari