nahin mera aanchal mela hai | नहीं मेरा आँचल मेला है

  - Parveen Shakir

nahin mera aanchal mela hai
aur teri dastaar ke saare pech abhi tak teekhe hain
kisi hawa ne in ko ab tak choone ki jurat nahin ki hai
teri ujli peshaani par
gaye dinon ki koi ghadi
pachtawa ban ke nahin footi
aur mere maathe ki siyaahi
tujh se aankh mila kar baat nahin kar sakti
achhe ladke
mujhe na aise dekh
apne saare jugnoo saare phool
sanbhaal ke rakh le
fate hue aanchal se phool gir jaate hain
aur jugnoo
pehla mauqa paate hi ud jaate hain
chahe odhni se baahar ki dhoop kitni hi kaddi ho

नहीं मेरा आँचल मेला है
और तेरी दस्तार के सारे पेच अभी तक तीखे हैं
किसी हवा ने इन को अब तक छूने की जुरअत नहीं की है
तेरी उजली पेशानी पर
गए दिनों की कोई घड़ी
पछतावा बन के नहीं फूटी
और मेरे माथे की सियाही
तुझ से आँख मिला कर बात नहीं कर सकती
अच्छे लड़के
मुझे न ऐसे देख
अपने सारे जुगनू सारे फूल
सँभाल के रख ले
फटे हुए आँचल से फूल गिर जाते हैं
और जुगनू
पहला मौक़ा पाते ही उड़ जाते हैं
चाहे ओढ़नी से बाहर की धूप कितनी ही कड़ी हो!

  - Parveen Shakir

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari