hota hairaan man tamasha ye siyaasat dekh kar
ye jo kursi paane kii had paar chaahat dekh kar
vaade to poore nahin koii bhi neta kar sake
apna matlab bhar nikale ye rivaayat dekh kar
har qadam pe ye ladai roti aur paani kii hai
sharm aati desh kii aisi to haalat dekh kar
vote paane ko sadaqat se bhara aachaar ho
roye dil in kii sabhi naapaak harkat dekh kar
hai na ab mahfooz maa behnon kii bhi to aabroo
jhuk gaeein aankhen watan mein phir zalaalat dekh kar
होता हैराँ मन तमाशा ये सियासत देख कर
ये जो कुर्सी पाने की हद पार चाहत देख कर
वादे तो पूरे नहीं कोई भी नेता कर सके
अपना मतलब भर निकाले ये रिवायत देख कर
हर क़दम पे ये लड़ाई रोटी और पानी की है
शर्म आती देश की ऐसी तो हालत देख कर
वोट पाने को सदाक़त से भरा आचार हो
रोए दिल इन की सभी नापाक हरकत देख कर
है न अब महफ़ूज़ माँ बहनों की भी तो आबरू
झुक गईं आँखें वतन में फिर ज़लालत देख कर
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari