bina paisa kamaaye ghar basaaya bhi nahin jaata | बिना पैसा कमाए घर बसाया भी नहीं जाता

  - Harpreet Kaur

bina paisa kamaaye ghar basaaya bhi nahin jaata
muhabbat se to phir raashan bharaaya bhi nahin jaata

rahe ban kar jo majnoon aur raanjha jaane vo behtar
ki choolha aashiqi se to jalaya bhi nahin jaata

dikhaai dete jo ye husn ke hain rang laakhon mein
magar jalwon se khaana to pakaaya bhi nahin jaata

ada jo waqt par hote na bijli ke ye saare bill
andhere mein gharo ko phir sajaaya bhi nahin jaata

kabhi jhukne na de walid kii nazaron ko zamaane mein
gai izzat ko phir waapis to laaya bhi nahin jaata

बिना पैसा कमाए घर बसाया भी नहीं जाता
मुहब्बत से तो फिर राशन भराया भी नहीं जाता

रहे बन कर जो मजनूँ और रांझा जाने वो बेहतर
कि चूल्हा आशिक़ी से तो जलाया भी नहीं जाता

दिखाई देते जो ये हुस्न के हैं रंग लाखों में
मगर जलवों से खाना तो पकाया भी नहीं जाता

अदा जो वक़्त पर होते न बिजली के ये सारे बिल
अँधेरे में घरों को फिर सजाया भी नहीं जाता

कभी झुकने न दे वालिद की नज़रों को ज़माने में
गई इज़्ज़त को फिर वापिस तो लाया भी नहीं जाता

  - Harpreet Kaur

More by Harpreet Kaur

As you were reading Shayari by Harpreet Kaur

Similar Writers

our suggestion based on Harpreet Kaur

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari