zindagi ko zara nazdeek bulao to sahi | ज़िंदगी को ज़रा नज़दीक बुलाओ तो सही

  - Harpreet Kaur

zindagi ko zara nazdeek bulao to sahi
ye dikhaave ka pada parda hatao to sahi

yun hi jhoothi sii banaavat kii hasi kiske liye
sach mein bhi to kabhi muskaan sajaao to sahi

kyun rakhen ghair-zaroori se gile aur shikwe
ab ghalatfahmi kii deewarein girao to sahi

zindagaani ka safar hai ye suhaana sa bahut
chand khwaabon ko nazar mein bhi basaao to sahi

khoobsurat se jo rishton mein bandhi preet yahan
poori shiddat se hamesha hi nibhaao to sahi

ज़िंदगी को ज़रा नज़दीक बुलाओ तो सही
ये दिखावे का पड़ा पर्दा हटाओ तो सही

यूँ ही झूठी सी बनावट की हँसी किसके लिए
सच में भी तो कभी मुस्कान सजाओ तो सही

क्यों रखें ग़ैर-ज़रूरी से गिले और शिकवे
अब ग़लतफ़हमी की दीवारें गिराओ तो सही

ज़िंदगानी का सफ़र है ये सुहाना सा बहुत
चंद ख़्वाबों को नज़र में भी बसाओ तो सही

ख़ूबसूरत से जो रिश्तों में बँधी 'प्रीत' यहाँ
पूरी शिद्दत से हमेशा ही निभाओ तो सही

  - Harpreet Kaur

More by Harpreet Kaur

As you were reading Shayari by Harpreet Kaur

Similar Writers

our suggestion based on Harpreet Kaur

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari