ye maana vo khuda tak kii ibadat bhi nahin karta
kisi ka par dukhaaye dil himaqat bhi nahin karta
lage ilzaam saare phir usi pe har dafa kyun hai
daleelon mein kabhi apni wazaahat bhi nahin karta
hai kehne ko yun to qurbat hamaare darmiyaan itni
na jaane kyun sanam ab to muhabbat bhi nahin karta
khafa ho ya dikha jalwa sata le jitna jee chahe
vo ba-gairat kisi keemat shikaayat bhi nahin karta
bichaata preet ke qadmon vo aise chaand taaron ko
kabhi badle mein vo phir mujhse raghbat bhi nahin karta
ये माना वो ख़ुदा तक की इबादत भी नहीं करता
किसी का पर दुखाए दिल हिमाक़त भी नहीं करता
लगे इल्ज़ाम सारे फिर उसी पे हर दफ़ा क्यों है
दलीलों में कभी अपनी वज़ाहत भी नहीं करता
है कहने को यूँ तो क़ुर्बत हमारे दरमियाँ इतनी
न जाने क्यूँ सनम अब तो मुहब्बत भी नहीं करता
ख़फ़ा हो या दिखा जलवा सता ले जितना जी चाहे
वो बा-गै़रत किसी कीमत शिकायत भी नहीं करता
बिछाता 'प्रीत' के क़दमों वो ऐसे चाँद तारों को
कभी बदले में वो फिर मुझसे रग़बत भी नहीं करता
As you were reading Shayari by Harpreet Kaur
our suggestion based on Harpreet Kaur
As you were reading undefined Shayari