yoon dil-e-deewaana ko akshar saza deta hoon main | यूं दिल-ए-दीवाना को अक्सर सज़ा देता हूं मैं

  - Qaisar Sidddiqui

yoon dil-e-deewaana ko akshar saza deta hoon main
apni barbaadi pe khud hi muskuraa deta hoon main

aisi manzil par mujhe pahuncha diya hai ishq ne
mera jo qaateel hai us ko bhi dua deta hoon main

kyun kisi ka naam le kar ishq ko rusva karoon
apne dil ki aag ko khud hi hawa deta hoon main

zikr yoon karta hoon apne gham ka apne dard ka
hosh waalon ko bhi deewaana bana deta hoon main

kya guzarti hai mere dil par khudaara kuchh na pooch
dushmanon ko jab talak ghar ka pata deta hoon main

apni hi awaaz khud lagti hai mujh ko ajnabi
jab akela mein kabhi tujh ko sada deta hoon main

nashtar-e-yaad-e-gham-e-jaanaan se qaisar in dinon
zakham jo sote hain un ko phir jaga deta hoon main

यूं दिल-ए-दीवाना को अक्सर सज़ा देता हूं मैं
अपनी बर्बादी पे ख़ुद ही मुस्कुरा देता हूं मैं

ऐसी मंज़िल पर मुझे पहुंचा दिया है इश्क़ ने
मेरा जो क़ातिल है उस को भी दुआ देता हूं मैं

क्यूं किसी का नाम ले कर इश्क़ को रुस्वा करूं
अपने दिल की आग को ख़ुद ही हवा देता हूं मैं

ज़िक्र यूं करता हूं अपने ग़म का अपने दर्द का
होश वालों को भी दीवाना बना देता हूं मैं

क्या गुज़रती है मिरे दिल पर ख़ुदारा कुछ न पूछ
दुश्मनों को जब तलक घर का पता देता हूं मैं

अपनी ही आवाज़ ख़ुद लगती है मुझ को अजनबी
जब अकेले में कभी तुझ को सदा देता हूं मैं

नश्तर-ए-याद-ए-ग़म-ए-जानां से 'क़ैसर' इन दिनों
ज़ख़्म जो सोते हैं उन को फिर जगा देता हूं मैं

  - Qaisar Sidddiqui

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Sidddiqui

As you were reading Shayari by Qaisar Sidddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Sidddiqui

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari